Friday, September 08, 2006

Lehroon Se Darr Kar.. Naauka Paar Nahin Hoti
Himmat Karne Walon Ki.. Haar Nahin Hoti
nanhiin Chiitin Jab Daana Lekhar Chalti Hai
Chadhti Deewaroon Par Sau Baar Phisalti Hai
Mann Ka Vishwaas Ragoon Mein Saahas Bharta Hai
Chadh Kar Girna.. Girkar Chadhna.. Naa Aakarta Hai
Aakhir Uski Mehnat.. Bekaar Nahin Hoti
Koshish Karne Walon Ki.. Haar Nahin Hoti
Dubkiyaan Sindhu Mein Goota Khoor Lagaata Hai
Jaa Jaa Kar Khaali Haath.. Laut Aata Hai
Milte Na Shaheej Ke Moti Paani Mein
Behta Doona Utsaah Isi Hairaani Mein
Muthi Uski Khaali.. Haar Baar Nahin Hoti
Himmat Karne Walon Ki.. Haar Nahin Hoti
Asafalta.. Ek Chunauti Hai.. Sweekaar Karo
Kya Kami Rehgayi.. Dekho.. Aur Suthaar Karo
Jabtak Nasafaal Ho.. Neend Chaain Tyaag do tum
Sungharshoon Ka Maidaan.. Choodh Mat Bhaago Tum
Kucch Kiye Bina Hi.. Jay Jay Kar Nahin Hoti
Himmat Karne Walon Ki.. Haar Nahin Hoti

"Suryakant Tripathi Nirala"

Thats the Stark Simplicity of a Hindi Poem.

No comments: